Ek koshis.............

My photo
Faizabad, U.P, India
Hi,Myself Akhilesh Dwivedi a pharma professional; working in Dr.Reddy's Labs.

Tuesday 26 April 2011

Andhre...

Ab tak andhre me jee rahe the hum...
Khuda ka sukra hai aaj se roshni to hogi....

Hashi..

Meri hashi ko dil ki khusi na samajh..
Abhi bhi sanson se zakhmo ko hawa lagti hai....

Sajda.....

Muddat hui thi  humko sajda kiye hue..
Sajde ko sir jhuka to sar hi kat gaya....

Monday 4 April 2011

Lohe ka pratisod……

Samay ke gart, mitti ke dher me
Pada tha wah
Bilkul shant,
Apne ko chupaye hue
Humne use khod nikala…
Aur lag gaye use apne anusaar dhalne me…..

Pasaano ne pees diya
Jal laheron ne bhigo diya
Prachand agni  ne to
Uska rang hi badal dala
Maano subha ka surya….

Kuch samay baad jab
Wah punah apne rang me aaya
To apne ko apno ki maar
Se bacha na saka
Sayad hum manav hi
Unke bich sangrash ke karta the
Jo karm mahej swarth ke liye
Kiye ja rahe the….

Chikh nikalti rahi
Hum sunte rahe
Phir bhi wahi bar bar karte rahe
Antatah tej dhar ban hi gayi
Jo aaj tak samay ko kaat rahi hai…..

Usi dhar ne jab
Tanik manav ko chua bar
Sahsa nikal padi ek aah
Phut padi lahu ki daar
Sayad yahi seema thi
Uske sahansilta ki
Ye dard tha uska
Jo manav ke dard ke roop me tha….

Akhirkaar usi laoh ne
Manav ko das liya
Jisne use naya swaroop diya…..

Kash mai pathar hota.....

Varth ki vaithaon
anant anukampaon
inderdhanushi ziwan vidhayaon
se mukt hota....
Kash mai pathar hota..

ushnd hawaon
lahu ko jama dene wali sitalta
har par anhoni ke
bhya se mukt hota..
Kash mai pathar hota..

tutne ka phir zudne ka
silsila aabtak chalta raha
har thokar se pahele
sambhalne ki tamam koshis karta raha..
nirantar saghanta phir viralata ka ..
to kahin aant hota...
Kash mai pathar hota..

kisi na kisi roop me
aadi se aant tak
charan se mathe tak
tript bhao se sana hota
tutne ke baad bhi
jaio se juda hota..
Kash mai pathar hota..