Samay ke gart, mitti ke dher me
Pada tha wah
Bilkul shant,
Apne ko chupaye hue
Humne use khod nikala…
Aur lag gaye use apne anusaar dhalne me…..
Pasaano ne pees diya
Jal laheron ne bhigo diya
Prachand agni ne to
Uska rang hi badal dala
Maano subha ka surya….
Kuch samay baad jab
Wah punah apne rang me aaya
To apne ko apno ki maar
Se bacha na saka
Sayad hum manav hi
Unke bich sangrash ke karta the
Jo karm mahej swarth ke liye
Kiye ja rahe the….
Chikh nikalti rahi
Hum sunte rahe
Phir bhi wahi bar bar karte rahe
Antatah tej dhar ban hi gayi
Jo aaj tak samay ko kaat rahi hai…..
Usi dhar ne jab
Tanik manav ko chua bar
Sahsa nikal padi ek aah
Phut padi lahu ki daar
Sayad yahi seema thi
Uske sahansilta ki
Ye dard tha uska
Jo manav ke dard ke roop me tha….
Akhirkaar usi laoh ne
Manav ko das liya
Jisne use naya swaroop diya…..